Monday 21 September 2020

7 Apps for Bloggers in Hindi

7 Apps for Bloggers in Hindi

 Kya aap ek blogger hai aur apni blogging se pese kamana chahte hai, to aaj ki es post me ham apko best 7 apps ke bare me batane jaa rahe hai jo aapke liye bahut hi faydemand ho sakte hai. Aap in android apps ka use karke apni website se achhi earning kar sakte hai. yaha par diye gaye sabhi apps apki blogging me bahut help kar sakte hai. Aaiye Apps for Bloggers in Hindi ko vistar se jante hai.

Apps for Bloggers in Hindi

Yaha par best 7 Apps for Bloggers diye gaye hai jinko di gai link se free me Google Play Store se download kar sakte hai.

WordPress App

Agar aapki website wordpress par hai to apko WordPress App ko apne mobile me jaroor Download karna chahiye. Wordpress app apko asani se Google play store par mil jayega jise aap free me download kar sakte hai. Es app ko apne mobile me chalane ke liye sabse pahle apko apni website ke wordpress Dashboard ek plugin ko install karna hoga jiska naam Jetpack hai.

Iske baad apne mobile ke WordPress App ko open kare aur apni website dalne ke baad user name aur password ke sath login kar le. Is Wordpress app se website ko puri tarah se control kar sakte hai jaise ki new post aur page publish karna, theme change karna, plugin ko install aur delete karna, media ko upload karna, website User aur traffic dekhna aadi.

Blogger App

Yadi aap ek Blogger hai aur Google ke blogger par apni website ko host kar rahe hai to apke liye Blogger app bahut hi helpful ho sakta hai. Es app ki help se aap asani se apni website ko Manage kar sakte hai. 

Blogger App se mobile se hi Post likh sakte hai aur use publish kar sakte hai, website ka traffic bhi dekh sakte hai. Blogger App ko Google Play Store se Download karne ke liye yaha click karne.

Google Analytics App

Yadi aap ek blogger hai to apke mobile me Google Analytics hona bahut hi jaroori hai. Es app se kabhi bhi aur kahi bhi apni website ke bare me bahut sari jaakari prapat kar sakte hai. Google Analytics ki maddat se aap realtime website se judi kai prakar ki janakri le sakte hai jaise ki current time par kitne user apki website par Active hai aur kis country se user apki website ko open kiye hai.

iske sath yah bhi dekh sakte hai ki apke website ki Performance kaisi, user mobile, desktop ya table se adhik aye hai. Google Analytics App ko aap free me Google Play Store se Download kar sakte hai.

PicsArt Photo Editor

PicsArt blogger ke liye bahut hi jaruri app hai. Es apps se aap apne blog ke liye Fechar image ko banaa sakte hain, jisse apki post attractive dekhti hai. kisi bhi website ke liye image bahut hi mahatvpurn hoti hai. Hamari Post ki image bhi Google me rank hoti hai.

PicsArt Android mobile ke liye ek behtar photo editor app hai. Es app ko aap Google Play Store se free mein download kar sakte hain. iske alava adhik feature ke liye aap eske gold version ki bhi membership le sakte hain.

Google Docs App

Blogger ke liye next app hai Google docs. Blogging ke liye aap Google docs ka istmaal MS word ki tarah kar sakte hain. Google dogs aapke Google account se link rahata hai jiske Karan aap apne artical ko computer Aur mobile dono me dekh sakte hain. Google dogs ki sabse acchi baat ye hai ki aap Jo likhate Hain vah real time per save ho jata hai.

Iske alava yah aapko grammar mistake ke bare me bhi batata hai jisse aap apni Galti ko dekh sakte hain aur unko sudhar sakte hain. Google docs MS word ki tarah aapke dwara likhe Gaye shabdon ko count karta hai aur batata hai ki aapane kitne Shabd likhe Hain.

Pixabay App

Bloggers ke liye 6th App Pixabay hai. Yadi aap ek blogger Hai to aapko yah pata hoga ki ek article ke liye image bahut hi jaruri hoti hai. SEO friendly article ke liye usme image ka hona important hota hai. Pixabay app se aap royalty free image download kar sakte hain aur in image ko Apne article mein use kar sakte hai.

Copyright free hone ke Karan image ko aap sidhe hi bina kisi editing ke upyog kar sakte hain, ismein aapko copyright ki koi problem nahi aati. Pixabay Android apps se unlimited image Ko download kar sakte hain. Pixabay App ko download karne ke liye aap es Link per click karke Google Play Store se Pixabay App ko free mein download kar le.

Google Hindi input or Gboard App

Bloggers ke liye last app hai Hamare Android mobile ka keyboard. Google Hindi input aur Gboard yah donon hi keyboard Google ke Hai. Gboard keyboard maximum Android mobile mein pahle se hi install hota hai. agar apke mobile me yah Na Ho To aap unko Play Store se download kar sakte hain.

Gboard yaa Google Hindi input keyboard ki help se aap apne article ko bolkar bhi type kar sakte hain, iske liye aapko hathon se likhane ki jarurat nahi Hai. yah aapki blogging ko aasan banaa deta hai jisse aap kam samay mein artical ko likh sakte hain.

Upar Best 7 Apps for Bloggers in Hindi diye gaye hai jo apke liye bahut hi helpul hoge. Iske alawa other koi App jo apko lagta hai ki hamari list me hona chahiye to uska name comment karke jarur bataye.